Shab-e- Meraj
Shab-e-Meraj ka waqia 27 Rajab al-marjab ko ALLAH SWT ne apne pyare nabi Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko Meraj ka sharaf atta kya. Ye waqia hijrat se 5 saal pehle maish aya tha. Shab-e-Meraj me Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki asmano pr Ambia Ikram se mulaqat hoi.
Hazrat Jibrail Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko asmano pr le jane k lye ay. Hazrat Jibrail ne Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke paon dabay or kaha Ya Rasool ALLAH, ALLAH se mulaqat ka paigam aya he. Ap ke Raab ap ko apne se mulaqat ke lye bula rahe hain. Ye wo zamana tha jb Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam pr dukh zyada the. tb ALLAH ne Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko apne se mulaqat ka sharf bakhsha. Hazrat Jibrail ne Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ko pakra or Hateem ( Bait-ul- llah) me le gay. Hazrat Jibrail ne Harzrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ke seene ko darmyan se alag kya. Pas hi do pyale the, aik me Aab-e-zam zam or aik me noor tha. Hazrat Jibrail ne Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ka dil bahir nikala or ose zam zam se dhoya. Phir dill ko darmyan se alag kya or andar se be achi tarah dhoya. Phir dill ke andar noor ko bhar dya or dill ko dobara jor dya or dill ki jaga pr dill ko rakh dya. apne ap ragon ne kam karna shuru kr dya. Seene ko milya to seena mil gya or koi nishan na tha. Is tarah asman pr jane ki tyari muqamal ho gai.
Bahir Buraq ( Taiz raftar) ki sawari AP sallallahu alaihi wasallam ki muntazir thi. Hazrat Jibrail ne kaha "aj tak itni azeem sawari tm pr nahi bethi, ye akhiri Rasool hain".
Os jaga se othaya or aik jaga le gay wahan pr Hazrat Jibrail ne kaha k Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ap yahan 2 nafal parhain, Aap sallallahu alaihi wasallam ne parh lye, pocha ye knsi jaga he Hazrat Jibrail ne btaya ke ye Aap ki hijrat ki jaga he. Phir os jaga se age gay or aik or jaga ja kr rukhe Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye knsi jaga he to Hazrat jibrail ne btaya k ye ap ke Dada Ibrahim ki jay pedaish he. Phir os jaga se age Bait-ul- Maqdas pohanche, wahan aik khushbo ai Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye khushboo kya he to hazrat Jibrail ne btaya k ye firoon ki bandi or os ki bachion ki khushboo he firoon ne bandi or os ki bachion ko zinda jala dya tha, jahan on ki hadian madfan hain wahin se khushboo a rai he. Buraq ko bahir bandha or andar tamam Ambia ikram Aap sallallahu alaihi wasallam ke muntazir the. Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne wahan sb Ambian ikram ki imamat ki, 2 nafal ada kye or elan kya k Masjid-e-Aqsa Bait-ul-muqadas ke taabe he (saab Bait-ul-llah ki tarf rukh karin ge), tamam imbian ke nabi hone ka elan kya or tmam ambia pr Aap sallallahu alaihi wasallam ki risalat or nabuat ki mohar lagane ka elan kya or os ke baad Aap sallallahu alaihi wasallam oper tashreef le gay.
Pehle asman pr Hazrat Adam se mulaqat hoi, kaha mere bhai a gay mere bete a gay, nabi a gay. Dosre asman pr gay to hazrat Yahya, Zakrya, Essa ne kaha hmare bhai a gay, nabi a gay. Tesre asman pr gay to Hazrat Yousaf ne kaha hmare bhai a gay hmare nabi a gay. 4 asamna pr gay to Hazrat Idrees ne kaha mere bhai a gay mere nabi a gay. Panchwa asman pr Hazrat Haroon ne kha mere bhai a gay, mere nabi a gay. Chata asman pr Hazrat Mossa ne bi yehi kaha ke mere bhai a gay, mere nabi a gay. Sathwe asman pr gay to aik riwayat ke mutabiq he k Hazrat Inbrahim ko samne khare paya or aik riwayat me he k satwe asman pr pr bait-ul-llah he or hazrat Ibrahim bait-ul-llah ki dewar k sath taike lagay bethe hain jb Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam pass gay to Hazrat Ibrahim ne khare ho kr kaha mera beta a gya. Hazrat Ibrahim ne apne gale lagya or matha chuma or farmaya k apni Ummat ko mera Salam dena. Jb Sidra-tul-Muntaha pohanche to Hazrat Jibrail ne kaha k is age ap akele hi jain ge. me yahin tk ja satkta hn is se aik qadam b age gya to jal jaon ga.
Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne janat ko dekha, janat ki naimaton ko dekha. Duzakh ko dekha duzakh ke azab ko dekha. Aap sallallahu alaihi wasallam ne dekha k aik admi leta he or aik farishta os k sar pr pathar marta he or sar ka qeema ho jata he, pathar age gir jata he wo farishta ose othane jata he to jb wapis ata he to os admi ka sar theek ho jata he to wo dobara os k sar pr pathar marta he or os ka sar dobara qeema ho jata he. Aap sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye kon he to btaya gya ke ye wo he jo " Isha ki namaz parhe bagair so jata tha. Phir Aap sallallahu alaihi wasallam ne kuch admion or orton ko barahna olte latke dekha or on ko aag neche se jala rai he, Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye kon hain to btya gya k ye wo log hain "jo roza chor dete the".
Phir Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne tandoor dekha jis me barahna ortain or mard cheekh ray the jin ko aag tandoor k mon tak lati or chor deti or wo lurkhte hue tandoor ke neeche chale jate, Aap ne pocha ye kon log hain to btaya gya k ye log "Zani hain". Age gay to Aap sallallahu alaihi wasallam ne dekha k farishte admi ke mon ke dahane me kenchi dalte or cheerte hue kan tk jate wo theek ho jata to phir cheerte to Aap sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye kon hain to btaya gya ke ye ummat k khadeeb hain jo fasad barpa krte the. Age gay to dekha k aik admi khana khane betha he os k pass acha tareen khana para he or aik taraf galeez mayat pari he or wo os galeez mayat ka gosht kha raha tha to pocha ye kon he he to btaya gya k ye "Geebat krne wale log hain". Aage gya to dekha k aik admi aag kha ra tha to pocha gya ye kon ho he btaya gya ye" Haram khane wala he " age gay to dekha aik admi ka pait phola hua he or andar sanp hai jo nazar a ray hain or andar se kaat ray hain or cheekh raha he pocha ke ye kon hain kaha gya ke ye sood khane wale hain.
Age gay to Dekha k ese log hain jin k dhar insano wale hain or mon suwar jese hain Aap sallallahu alaihi wasallam ne pocha ye kon hain to hazrat Jibrail ne kaha k ye log "Jhutti gawahi dena wale hain" Phir aik khofnaq farishta dekha to pocha ye kon he btaya gya k ye jahanum ka farishta he " Malik" , phir aik muskurata hua farishta dekha pocha ye kon he to btaya gya ke ye jannat ka farishta he "Rizwan". Phir jannat ko dekha wahan aik khubsurat larki chasme pr wazu kr rai thi or os ke sabz jote tasbeeh parh ray the pocha beti tm kon ho os ne btaya ke me Omer bin Abdul Khatab ki bewi hn, " Hoor hn me or ap ke Gulam Omer bin abdul Khatab k lye bnai gai hn.
Shabe meraj Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ALLAH SWT me mulaqat ki. Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ALLAH SWT ke qareeb hue. phir guftagu hoi. Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne framaya ke ya ALLAH ap ne Ibrahim ko Kaleel bnaya, Mossa ko Kaleem bnaya, dawood ke lye loha naram kya,Suleman ke lye hawa tabee ki, Essa ke lye morde zinda kye, mere lye kya he to ALLAH SWT ne farmya ke " ap ko wo dya jo kisi ko nai dya pocha kya to ALLAH SWT ne kaha k Aap ka or mera nam qyamat tak ikatha rahe ga juda nahi ho ga (Subhan ALLAH).
Wapisi pr 50 namazon ka tuhfa mila or ap chate asman pr pohanche to ono ne dryafat kya k mulaqat kesi rai to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya achi or 5r0 namazon ka tuhfa mila he to hazrat Mossa ne kaha k kam kara lain namaz phir Haerat Muhammad sallallahu alaihi wasallam wapi ALLAH SWT k pas pohanche or namaz kam krne ki aarz ki to ALLAH SWT ne 5 namazain kam kr di. phir Aap sallallahu alaihi wasallam hazrat mossa ke pass pohanche onho ne daryaft kya kitni nazain mili to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya k 5 kam hoi hain to Hazrat Mossa ne kaha ye b zada hain phir Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ALLAH SWRT ke pass gay to ALLAH ne 5 or kam kr di phir hazrat Mossa ne pocha to farmaya 40 namzain to Hazrat Mossa ne kaha nahi parhain ge isis tarah Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam 5, 5 kr k kam kara ay to hazrat Mossa ne pocha kitni mili hain Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya 5 to Hazrat Mossa ne kaha k nahi parhain ge ap or kam kara lain. Hazrat Muhammad sallallahu alaihi wasallam ne farmaya k 5, 5 kr k kam hoi hain to ab gya to koi b nai mile gi to phir meri ummat ka kya bne ga 5 theek hain. Hazrat Mossa ne farmaya k meri ummat pr 2 namazin farz the 2 fajar ki rakat or 2 asar ki meri ummat ne nahi parhin.
Namaz MOmin ki Meraj he. Namaz nahi chorni chahiye kun k namaz ki ahmiyat bohat zyada he.
0 Comments
no links, spam and bad comments are not allowed